Saturday, March 8, 2014

Hazaro Aine Hai..

Hazaro aaine hain,
mujhme kahi..


Har aine ka apna rang,
apna roop..

ek hi mere mann ke,
hazaro pratibimb..

In pratibimbo me,
kho gaya mera aap..

Wo bachpan ki galiyo me,
daudta khelta mera aap..

Dosto ki dosti me ghuli,
masoomiyat ka mera aap..

Wo sardi ki dhoop,
wo garmi ki chhao..

Wo dukh me rota aur,
khushi me hasta mera aap..

Har guzarte waqt ke sath,
khatte meethe anubhav ke baad,
judte rehte hain,
kitne aaine..

Jawani ke darwaze par khada,
zimmedariyo ka aina..

Samajhdari ki chadar me lipta,
sandeho ka aina..

Aina jab tootega to,
dard to hoga..

par iss bhool bhulaiya me,
umr bhar ke bhatakne se..

Nissandeh sweekar hai,
is dard ko sehna..

Hazaro aine hain,
mujhme kahi..

No comments:

Post a Comment